Adam Aur Eve Punjabi Songs lyrics Pardhaan

Tuesday, 19 December 2017

Adam Aur Eve  Punjabi Songs lyrics   Pardhaan


Sochne ki baat hai
Mera vartmaan kya hai?
Parichay ya Pardhaan
Mera asli naam kya hai?

Madad karun ya maangu
Asmanjas mein hun
Samjhdari mere liye ye kaam naya hai
Phir bhi ab yehi karunga
Chhod ke laaparwahi

Ye neend bigaad deti sabkuch khaamkha hi
Main toh haan mein haan hi milayi thi sabki
Lekin mere apno ne hi di mere khilaaf gawahi

Mukadma tha har kisi ka saah dene ka
Sammaan mein kami nahi beshak ho dusre kheme ka
Jinko jinko maine ache samay se milaya
Aaj unke paas nahi waqt mujhe dene ka

Maamuli main par har koi mere liye khaas hai
Abhi bhi mujhe vishwaas par vishwaas hai
Nafraton ko nazarandaaz karke
Puri duniya se dhakke khake phuncha tere paas main

Adam aur Eve ki tarah mujhe bhi fal de
Jab bhi sochun rukne ka
Mere kadam khud-b-khud chal dein 

dam aur Eve ki tarah mujhe bhi fal de
Jab bhi sochun rukne ka
Mere kadam khud-b-khud chal dein 


Dimag jam chuka zubaan jali padi
Shayri anginat raddi mein hai padi
Hadbadi mein ye sab likh raha hun beshak
Meri mehnat se meri kismat ladi padi

Lekin samjhota karaana mera farz hai
Gale milna ilaaj chahe jaisa bhi marz hai
Yehi toh tarz hai
Sur mile mera tumahara maafi maang lo
Ya kardo maaf kya harz hai

Itni galatfehmiyan le jaoge kaha tum
Ye duniya choti si mujhko paoge har jagah tum
Par kaise bhala tum mujhse bhale banoge
Usko chori kehte jisko samjhte ho kala tum

Chalo chhodo chugalkhoro ki baat ko
Aaj nahi toh kal sudhar jayenge haalat toh
Par apko saath dena hoga harpal
Khud aana hoga bhejna na kisi saanp ko

Adam aur Eve ki tarah mujhe bhi fal de
Jab bhi sochun rukne ka
Mere kadam khud-b-khud chal dein

Related Post

Next
Previous
Click here for Comments

0 comments: